Abhi Na Jaao Chhor Kar - Hum Dono (1961)

Posted by Nerdyy

Yes I've suddenly gone back to the 50s and 60s where I think I will reside for a while. I absolutely love this song - the lyrics the composition and the singing ... its a beautiful beautiful song with very meaningful lyrics :D


abhi na jaao chhor kar ke dil abhi bhara nehin

abhi abhi to aayi ho bahaar banke chhaayi ho
hawa zara mehek to le nazar zara behek to le
yeh shaam dhal to le zara yeh dil sambhal to leh zara
main thori der jee to loon nashe ki ghoont pee to loon
abhi to kuch kaha nehin abhi to kuch suna nehin

sitarein jhilmila uthe chiraag jagmagah uthe
bas ab na mujhko tokna na barke raah rokna
agar main ruk gayi abhi to jaa na paoongi kabhi
yehi kahoge tum sada ke dil abhi nehin bhara
jo khatm ho kisi jagah yeh aisa silsila nehin

adhoori aas chhorke adhoori pyaas chhorke
jo roz yunhi jaaogi to kis tarah nibhaogee
ke zindagi ke raah mein jawaan dilon ke chaah mein
kayee maqaam aayenge jo humko aazmayenge
bura na mano baat ka yeh pyar hai gila nehin :P

3 comments: